Spiga

SMS freak_14

Zindagi ki raaho me ishq na mile,

is bedard zamane se kuch na mile,

hum gum kyun kare ki woh hame na mile,

arey gum to woh kare jinhe hum na mile..

*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Paas aakar sabhi dur chale jate hai,

Hum akele the akele hi rahe jaate hai.

Dil ka dard kise dikhaye,

Marham lagane wale hi zakham de jaate hai..

*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mohabat ho gayi jinse

shikayat unse kya hogi,

zuban tak baat jo aayi

yakinan woh dua hogi,

agar woh ruth gaye mujhse

koi meri hi khata hogi.

*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bahut tmana thi kisi ko apna bnane ki,

Bahut tmana thi kisi ka ho jane ki,

Pr kya pta tha jiske hm hona chahte hai,

Unhe adat hi nhi kisi ko apna bnane ki

*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kisi ke dil ka dard kisne dekha hai,

jisne dekha hai sirf chehra dekha hai,

dard to tanhai may hota hai ,

aur tanhaiyon mein logo ne hume haste dekha hai.

0 comments: